Tuesday 28 July 2015

CHATPATI ALOO TIKKI

Boiled 
aloo 3-4
Green chillies 3-4
Bread slice   3
Boiled moong daal 1 cup
Salt according to your taste 
Red chilli powder 
Curd 
Meethi chatney
Bhuna jeera
Chat masala
Method
Sabse pahle boiled aloo ko achche se mash kar lein . Usme 2 bread ko tod kar mix kar lein.  Moong ki dhuli daal ko 2 hours ke liye bhigo dein . Ab daal ko cooker mein salt daalkar thoda pani daalkar boil kar lein . Kadahi mein thoda sa oil daalkar jeera daalein phir boiled daal daalkar achche se bhun lein isme sab masale green chilli , red chilli powder , amchoor powder daalkar achche se bhun lein paani bilkul na rahe . Ab mashed potatoes thoda sa haath mein lekar usme ye masala bharkar tikki bana lein . 

Ab nonstick tave par oil daalkar tikki rakhein sim gas par dono side se achche se sek lein.
Ab Tikki ko ek plate mei rakhkar uske ooper dahi daalein phir Meethe chatney daalein chaat masala mirch powder aur bhuna jeera daalkar garam garam serve karen
 

Friday 22 May 2015

MASALA ALOO CHIPS...

MASALA ALOO CHIPS..
Aloo ko peel karke is shape mein kaat lein .Achche se dhokar bheega dein. Ek kadahi mein oil daalein methi daana daalein phir usme jeera hing daalkar aloo daal dein. Salt daalkar dhak kar 85% galne tak paka lein. Ab isme adrak hari mirch ki paste ,dhaniya powder, aur thoda sa sambhar masala aur laal mirch powder daalkar mix karke paka lein. Last mein ek spoon bhuna besan daalkar achche se mix karen aur garam garam serve karen.

Custard pudding

Milk- 1/2 litre
Britannia fruit cake 4 packets (crushed)
Mango- 1 (diced)
Pomegranate- 2
Vanilla icecream- 1 brick
Custard

Method:
Make custard with the above mentioned milk quantity, let it cool at room temperature.
Evenly spread a layer of crushed fruitcake in the bowl, add to it a layer of vanilla ice cream (melted). Then add some finely chopped mangoes and pomegranate. Top it up with a thin layer of fruitcake and finally spread a thick layer of custard on it.
Repeat the procedure once more to add another layer of all the stuff. 
Once done keep it in the freezer to let it set for about 2-3 hours and then refrigerate it tour pudding is ready.